Question: salam...keya farmata hain ulema Musht zani ka bara me..? kue ka..
Musht Zani kay hawaley sey imamo\'n ki ra\'ey mein ikhtilaf hai.
Imam Malik aur Imam Shafa\'ee isey gunah aur haram samajhtey hain.
Imam Abuhanifa kay nazdeek gunah sey bachney kay liye ba\'waqt e zaroorat ki ja sakti hai aur Khuda maaf farma dey ga.
Imam Han\'bal isey ja\'ez samajhtey hain aur in kay nazdeek iss ka koi gunah nahin.
Islam mein halal aur haram bohut wazeh hain. Islam ka ek bunyaadi usool yeh hai kay har cheez halal hai jab tak Allah aur uskay Rasool ney usko haram na qarar diya ho. Quran Majeed mein musht zani kay haram honay ka kahin bhi wazeh zikr nahin. Ba\'az ulma\'a ney sura Momineen ki aayat 5,6 :
\"yaqeenan falah paee eeman laney walo\'n ney jo …apni sharamgaho\'n ki hifazat kartey hain, siwaey apni biwiyon aur londiyon kay\"
sey akhaz karney ki koshish ki hai kay yeh haram hai jab kay bohut sey doosrey ulma\'a ney yeh mafhoom nahin liye. Kuch ney kaha kay iss sey muraad mat\'aa hai ba\'az ney kaha kay iss sey muraad zina hai. Yani iss hawaley sey ahl e ilm mein khasa ikhtilaaf hai. Agar iss sey murad musht zani li jaey to phir iss sey yeh nukta bhi nikalta hai kay biwi aur londi ki har cheez ja\'ez hai aur halal hai yani maq\'ad mein mubashrat karna bhi ja\'ez aur halal hoga.
To phir iss per yeh daleel di jati hai kay amal e qom e loot ko to Quran mein wazeh tor per haram qaraar dya gaya hai. Quran majeed kay muta\'alley sey ek baat samney aati hai kay ba\'az jagah Quran majeed ney ek cheez ki hurmat ki taraf sirf ishara kya magar kisi doosri jagah isey wazahat sey haram qarar dey diya gaya. Yani koi aisa gunah e kabira nahin jis ko Quran o hadees mein wazahat sey beyan na kya gaya ho. Chunancha Quran majeed mein musht zani kay haram honay ki koi wazeh ayat mojood nahin. Iss tarah Allah kay nabi ney bhi isey haram qaraar nahi diya. Meine ahadees ki ahem kutub ko chaan maara, mujhey musht zani ki hurmat per koi ek bhi hadees nahin mili. Sirf Anas bin Malik kay hawaley sey ek hadees ka zikr aata hai magar ahl e ilm ney isey ghareeb qarar diya hai kyun kay is ski sanad mein ba\'az ravi majhool aur za\'eef hain.
Phir meine ulma e ahl e hadees aur ahnaaf sey bhi rabta kya to woh bhi kisi sahi hadees ki taraf meri rehnumaee nahin kar sakey, yeh masla mojooda daur ki paedawar nahin bul kay Allah kay nabi kay daur mein bhi tha. Meri naqis ra\'ey mein Allah aur us kay nabi ney iss masley sey sarf-e-nazar kya hai. Chunancha Imam Zehbi ney apni mashhoor kitab \'Gunah e Kabira Ki Kitab\' mein 79 gunah e kabira ka zikr kya hai. Jo darj zael hain:
Allah kay sath shirk karna
Qatal karna
Jadu karna
Namaz chorna
Zakat ada na karna
Mah e Ramzan ka roza bina uzr chorna
Taqat kay bawajood Haj na karna
Walaedaen ki nafarmani karna
Qareebi rishtey daaron sey qata\'a ta\'alluq kar lena aur sila rehmi na karna
Zina karna
Amal e qom e loot
Soodi laen daen
Yateem ka maal khana
Allah aur Rasool per jhoot bolna
Maedan e jang sey farar
Hakim e waqt ka re\'aya ko dhoka dena aur unn per zulm karna
Ghamand karna aur deengein marna
Jhooti gawahi dena
Sharab peena
Jua baazi
Paakdaman aurton per tohmat lagana
Maal e ghaneemat mein khayanat karna
Chori karna
Daaka dalna
Jhooti qasam khana
Zulm o zyaditi karna
Ghunda tax wasool karna
Haram khana
Khudkushi karna
Aksar baton mein jhoot bolna
Allah kay qanoon sey hutt kar faisla karna
Faisla karney per rishwat lena
Jins e mukhalif ki mushabihat ikhtiyar karna
Dayyoosi ikhtiyar karna yani apney ghar walon mein akhlaqi buraee (zina ko bardaasht karna
Halala karney wala aur halala karwaney wala
Peeshaab kay chee\'nton sey perhaez na karna
Jaanwaron kay mu\'nh per daagh lagana
Dunya kay husool kay liye ilm hasil karna aur ilm ko chupana
Khayanat karna
Ehsaan jatlana
Taqdeer ko jhutlana
Logon ki posheeda baton kit oh lagana
Chughal khori karna
Bilawajah la\'anat karna
Dhoka dena aur ahed poora na karna
Najoomi aur kahan ki tasdeeq karna
Khawand ki nafarmani karna
Bilazaroorat tasweer banana
Museebat kay waqt tamanchey marna, noha karna, kaprey pharna, ser kay baalon ko mundwadena, baalon ko nochna, halakat aur tabahee ki bud dua\'en karna
Zulm aur sarkashi karna
Kamzor ghulam, londi, biwi ya janwar per zulm karna
Parosi ko takleef dena
Musalman ko takleef ya gali dena
Takabbur ya baraee ki gharz sey tehband takhno\'n sey neechey rakhna
Soney chaandi kay bartanon mein khana peena
Mardon ka sona ya resham pehenna
Ghulam ka bhaag jana
Ghaer Allah kay naam per zibah karna
Jaan boojh kar haqeeqi nasb ka izhar karna
Jhagraloo pan ka muzahira karna
Izaafi pani rok lena
Kam tolna ya kam naapna
Allah ki tadbeero\'n sey bey khauf hona
Murdaar ya khinzeer ka gosht khana
Juma\'a aur farz namaz ko terk kardena
Ba jama\'at ki bajaey tanha namaz parhna
Allah ki rehmat sey mayoos hona
Musalman ko kafir kehna
Dhoka fareeb dena
Sahaba karam mein sey kisi ko gaali dena
Ghalat faisla karney wala qazi
Jhagrey kay doran gaaliyan dena
Nasb ka tana dena
Mayyat per noha karna
Zameen kay nishanaat mitana
Ghalat rivaj paeda karna ya gumraahi ki da\'awat dena
Ja\'ali husn paeda karna
Musalman ki taraf aslaha kay sath ishara karna
Hudood-e-haram mein zyaditi karna
poori fehrist ka ba ghor jaeza lein, iss fehrist mein kahin khudlazzati ka zikr nahin.
Ek zamaney mein mujhey haerat thi kay ek kaam jisey 95% log karney per majboor hain, woh gunah hai. Ab ilm hua kay Allah aur uskay Rasool ney iss masley mein sukoot farmaya hai, magar humarey ba\'az ulma\'a ney isey haram qarar dey diya. Iss ka maqsad yeh nahin kay hum khudlazzati/mushtzani ki wakalat kar rahey hain na hum iska mashwara detey hain kay sab larkon aur naujawanon ko aisa karna chahiyie, meine khud nahin kii.
Humara maqsad sirf yeh hai kay iss mozou per mua\'ashirey mein paee janey wali ghalat fehmiyon ki haqeeqat beyan karein, ta\'hum iss kay koi nuqsaanat nahin aur na hi yeh gunah e kabira hai.
me na ya aik website pa para ha...ulema keya farmata hain is ka bara me....